“… bhala manda dekhe na paraya na saga re
nainon ko to dasne ka chaska laga re
nainon ka zeher nasheela re… nainon ka zeher nasheela
baadalon mein satrangiyan bonve bhor talak barsaavein
baadalon mein satrangiyan bonve… naina baanvra kar denge
naina thag lenge…
naina raat ko chalte chalte swargaan mein le jaavein
megh malhaar ke sapne beejein hariyali dikhlavein
nainon ki zubaan pe bharosa nahi aata
likhat parhat na raseed na khaata
saari baat havaai re
saari baat havaai…”
- Gulzar
Advertisement
